Month: February 2024

Pyas lagi thi Gajab ki

Pyas lagi thi ghazab ki
Magar pani mein Zehar tha
Pite toh mar jaate, Na pite toh bhi mar jaate

Bas yahi jindagi bhar ke masle hal na huye
Na neend puri hui, Na khwab mukammal huye
Waqt ne kaha kash thoda aur sabr hota
Sabr ne kaha kash thoda aur waqt hota

Hunar sadko pe tamasha karta hai
Aur kismat mehlo main raj karti hai
Subah subah uthna padta hai jindagi kamane ke liye
Aram kamane nikalta hun aram chhod kar

Daulat ki bhukh aisi lagi, kamane nikal gaye
Daulat mili toh hath se rishte nikal gaye
Bachho ke sath rehne ki fursat na mili kabhi
Fursat mili toh bachhe kamane nikal gaye

Pyas lagi thi ghazab ki, magar pani pi na shake.